Sunday, November 17, 2013

Sachin Tussi Great Ho....

Kadi Dopahar me T shirt pahan  kar...
Haath me  balla aur gend  liye...
Chala Main sadak ke kinare...
Sachin Banne ka  khwab  liye..

pichali baar ka Cycle ka Tyre bacha rakha hai...
Paas pade patthar ko Ped ke neeche chupa rakha hai...
jyada tappe wali  gend haath me  liye...
khud  ko galli cricket ka Sachin maan kar rakha hai......

bhale na ho koi squre drive...
na ho koi sweep shot ki jagah...
na ho  sir per helmet pairo me pad...
per Sachin  hai  humare chokko chakko ki  wajah...

dhool se poore nhare hooe....
To kabhi  Paseene me  nahaye hooe...
Kabhi ghutne hooe khoon  se lathpath..
to kabhi kohniya sadko per bichae  hooe...
Sachin Banna cahte hain...
Aankhon me sapne sajaye hooe.....

kabhi ek run  ke liye maha youdh..
to  kabhi boundry  ke liye  chota sa ganit...
kabhi  aapna hi  koi umpire bane
to aaj  match jeet lenge ye man ki ganit....

lo humne cricket chhoda  to...
bhagwan bhi cricket se rooth  gaya....
pitch ko  aakhri  salam kar ..
wo  aapne ghar ko laut gaya....

Sachin ko  dekh kar humne balla oothaya...
Sachin  ko  dekh kar humne gend oothai..
Sachin  ko  dekh humne cricket khela....
aab Sachin nahi to  kahe ka khela.....

kya  pata aab kabhi  cricket khel payenge.....
Sachin  ke  kitne  hooe ye sawal puch payenge.....
Sachin  hai  na is khushi  me wickets ki chinta nahi thi,,,
kya aab  iis sukoon se match dekh payenge...

Doston ye sawal aache hain ki  kya aab cricket  me hume koi interest rahega???
kyon nahi....kya Ram aur krishna ke jaane ke baad humne pooja chhod di??
Paigambar ke jaane ke baad  kya humne azane gana chhod di??
to Sachin  ki bhaki hum aage  bhi cricket dekh kar aur mauka mile tak khel k ar karenge......

Jai  Sachin.... Jai Cricket.....


Sunday, December 30, 2012

Happy New Year

31 dec ko thandi se raat hogi..
doston ki mehfilo me kuch baat hogi....
purane saal ke gum aur khushi..
ye sab batain saath saath hoogiii...
Naye saal ki pahli raat hogi....

Is saal me maine kya paya kya khoya...
is baat ki saathganth hogi..
paisa to sabne kamaya hoga....
kisi se mil kar bichadne ki baat hogi..
Naye saal ki pahli raat hogi....

kuch boss ko galiyan...
kuch aapne kaam ki badi baat hogi....
yaar kar wo ladki sexi thi...
to aaj thodi hot ho ye man me aas hogi....
Naye saal ki pahli raat hogi....

Kuch taash ke patte honge...
to kuch chay ki pyaliyan hogi...
alg alag Music to thapo per..
alag alg kadam taal hogi....
Naye saal ki pahli raat hogi....


Tabhi baje poore 12...
chillane ki shuruvaat se hogi...
Happy new year hai sabki....
aaisi hi wish karne ki ek baat si hogi....
Naye saal ki pahli raat hogi.

is saal hum ye karenge wo karenge...
aaise vaadon ki phir se nayi list hogiii....
is baat o pakka karunga hi...
man me naye jazbaat ki nayi raah hogi....
Naye saal ki pahli raat hogi.

Satsang, masti aur khushi se gujre naya saal....
Is bande ke man ne to bas ye hi baat hogi....
sab fale fule aur khush rahe..
aaisi meri dua uper wale ke pass hogi..
Naye saal ki pahli raat hogi.


Happy New year........

Sunday, December 23, 2012

Meri Shavyatra

Doston thoda ajeeb hai per kahte hai likhne wale imagination me bahut kuch likh jate hai....chalo main aaj koshish ker raha hoon meri shav yatra ko imagine karne ki....

Aaj main khada hoon
ek ajab si jagah per
rote bilakhte logo ke beech
kuch planning karte logo ke beech..

kuch dhandhas bandhate log..
kuch vidhiyo per batuyate log..
kuch tippani karte log..
to kuch meri batain karte log....

kuch logo se mera kuch rishta hai...
to kuch se meri dosti.
kuch aaise hai jinhe main jaanta nahi...
per wo kahte hai ki ve mere aapne hain....

kuch mujhe galiya dete log...
kuch mujhe sarahte log...
kuch ke hisab se aacha hooa main gaya...
kuch ke hisab se main ruk kyon nahi gaya...

tabhi shuru hooi meri antim yatra
mere nashwar shareer ki shav yatra..
log chal pade ram ka naam lekar...
main bhi saath ho liya jai ho kahte hooe....

raston ko chirte hooe..
bheed ko kaatte hooe...
rah chalto ka dhyan khiche hoe..
antim vidali lete hooe...
chal padi hai meri shav yatra..
shamshan ki aur badhte hooe...

Main soch raha hoon wahin kahin...
ke kya paya maine aur kya kho diya hai..
aapne jeevan kaal ke
kaamo ko toh leta hooa....

tabhi hum pahuche shamshan ghat...
mera shav pahucha meri chita ke pass...
agni ke bhet chadne meri aakhri jaydaad..
raakh me mili meri poori kaynaat....

Maine palat kar dekha rote chehro ko...
Mere jane ke baad gum me dube kuch aapno ko....
ye to thi normal shav yatra...
jo dukhi kare sab logo ko..

e mere aapno mere doston...
tumhare aansu mere shav se jyada keemti hain..
mat rona mere jane ke baad...
meri aatma aapki hasin per hi jeeti hai...

shariir to ho gaya aag ke havale...
meri aatma to aaj bhi aapke sameep baithi hai..
to bandh karo ye rona dhona....
haso aur sabko hasao...
ye hi hai meri aakhri tamnna....



 

Sunday, November 4, 2012

Aaisa kyon hota hai..

Man me aag si lagti hai..
Tere deedar ko jee cahta hai....
do naino me doobne ko dil karta hai...
Aaisa kyon hota hai...

din bhar sirf ek shaqs yaad hota hai...
Tera hi chehra nazron ke samne hota hai....
awaz gunjati se kaano me teri....
ehsaas man me hota hai.....

kuch lamha agar dhayan na jaye teri aur....
man me sailab sa ooth jata hai....
jo alfaz na sune ho kuch pal maine..
koi kaam dil ko nahi soojta hai...

aaisa kyon hota hai...
ki udas man bhi machal oothta hai...
teri sirf ek muskurahat se..
hotho per mand muskan hai...
tere ek aabhivadan se....

log kahte hai ise ek bimari...
jise lagi oosi ko hi nibhani....
man ki preet hai doston...
har ashique ki kahani.....

lo aaj muje bhi kuch ho gaya...
bhola sa man pyar me pad gaya...
Do naino me aaj doob gaya.....
ooski yaad me ek kavita phir likh gaya.....


Monday, October 22, 2012

likhte kyon nahi....

Doston I am back........

kahti hai wo mujse yu muskurakar..
ke tum aajkal kuch likhte kyon nahi...
kahte the tum khud ko lekhak..
man hi man bade itarakar..

main to tumhare shabdon ki diwani thi....
tumse jyada tumhare vicharon ki parwani thi....
mere liye hi sahi e meet mere...
2 shabd bhi tum likhte kyon nahi.....

maine palatkar kaha e jane jigar...
Vichar dil ki sunte hai dimag ki nahi....
kalam alfazon ki sunti hai hatho ki nahi...
Gazal shayri se banti hai lavzon se nahi....

Dil to mera tune chura liya...
alfazon ko to tune tera bana liya..
lavzon me to sirf tera hi naam hai...
shayar ko tune ashique bana liya....

likhne baitha to tera naam aagaya...
teliphoon per tera paigam aagaya....
dil me aayi teri yaadu is tarah...
shabdon ko ek alpviram aagaya......

Sunday, August 5, 2012

Dost

aaj subah ki ujali kiran me...
khali pade in raston me.
kadam tal kiye chala ja raha tha..
khud se do lavz kahe ja raha tha...

purane dino ki choti se yaad ko..
phir se jeeta chala ja raha tha...
tabhi ghera mujze kuch bavandar ne...
bahata gaya yadon samandar me..

yaad aaya wo waqt
jab main tha thoda musibat me..
bas oos pal ki yaad hi bahut thi,,
ke do kadam aur dikhe bagal me..

kandhe per aapna hath rakh wo bola..
tu chala chal main tere sath hoon bhola..
tu tair nahi sakta ye janta hoon main...
isiliye laya hoon main tairaki chola..

bas tu hath pakad le mera...
har bawandar se lad jayenge hum..
thoda tu chal thoda me chalta hoon...
har laharon per tair jayenge hum...

har khushi me tere sath rahoonga...
har gum me tere pass rahunga...
teri hasi ka hissa banu na banu...
tere aansuo ka sahara zaroor banunga...

maine bhi socha ye bhi sahi...
jab pass ho koi aapna..
mushkil ya khushi ka sath wahi hai...
hum kah sake dost aapna....

Mere sabhi doston ko mera salam...in char lineo se aaj friendship day per tute foothe alfazon se koshish ki hai...mujhe pata hai dum na bhi hoga tab tu kahoge...kya baat kya baat kya baat.....dhanyawad..... 

One Sided Love...

Hello doston...
Pyar.. bada aacha lavj hai... App main har koi is lavj se vakif hai.. Pahle ye blog main Hindi me likhna chah raha tha..but jab tak main translator download karunga meri puri vichar dhara hi khatm ho jati... kyonki one sided love ke bare me likhne ke liye oos mindset me hona jaroori hai...

main aap hum sab aapne jeevan me ek na ek baar is beemari ka shikar jaroor hooe honge.. jab hume koi pahli nazar me pasand aaya ya aayii hogi. kanyaon ke dimag ki halat shayad main aache se bayan na kar paoo, per bando ki dasha per baat kar sakta hoon..

To chalo aaj baat karte hai pahle pyar ki...wo pyar jiska izhar cah kar bhi bhi nahi ker pate...per jab wo samne ho to ooski aankhon me gote lagate hai jab samne na ho osaki yadon me gote lagate hai...
aaj ke adhunik yug me mobileko bar bar palat palat kar dekhte hai ki shayad ooska koi message aaya hoga..shayad koi missed call hoga...aur kisi missed sales call per re call kerke check karna kekahin ye call ooska to nahi...

are Ankit ye oosaka oosaka kya ker raha hai...ya kaun hai wo aaise sawal zaroor aayenge,,,to doston "Oosako" is shabd ko aap replace kijiye aapke pahle pyar ya aapke ek tarfa pyar se....

jab aap pahli baar aapne dil ki nahi sunte aur prem-samudra me tairne se darte ho...to ye one sided love aapka picha hi nahi chodta. jeevan ke har padav per aapke dil per dastak deta hi hai..   aab ye main kyon kah raha hoon kyonki mere sath to aaisa hooa hai aur ho raha hai...per mera jawab aaj bhi yahi hai ki pyar kya hai mujhe ye hi nahi pata....khayal rakhna khushi me khush hona aur gum me sath baith gum bantna ye to humari adat hai agar ye pyar hai to haan main bhi iisi samandar me gote kha chuka hoon....

are are main to rasta hi bhatak gaya....main oos feeling ka zikr karna chah raha tha per main to bhavnao me hi dub gaya....

kya kabhi aapke sath aaisa hooa hai ki jab koi aapke sath ho to har kaam me man lagta hai..aur jab sath na ho to ooski ka khayal man ko ghere rahta hai...aur oos ghadi ka intazar karta hai ki kab main oonse phir miloonga...akele baithe kar muskurana..agar wo bhav na de to thoda chidh jana...aaine ke samne ja ja kar khud ki halat thik karna...aur galti se wo kah de ki ye shirt aap per jachti hai to bas..wo shirt na hooi bhagwan ban gayee...lagbhag roj wahi shirt pahnne ko atur rahna....

bada hi meetha sa ahsaas hai....agar pyar ek tarfa ho to ooska ehsaas hi ajab sa hai main to ye soch raha hoon ki yadi ek taraf me itna maza hai to dono taraf ka ho jaye to wakai ye kahna atisyokti na hogi..ke aag dono aur barabar ki lagi hai...ha ha ha

to bas e mere dost..
kabhi khidki ki oot se..
to kabhi aaine ke pratibimb se..
ooske naino ko main niharta raha..
ye pyar bhibadi gajab cheej hai...
naav me baith kar bhi bas gota lagata raha,,,,,

સપનાંઓ