Showing posts with label Relationship. Show all posts
Showing posts with label Relationship. Show all posts

Saturday, April 11, 2015

તારી આંખો નો સથવારો....
મારા જીવન નો સહારો
તારી વાતો નો ભણકારો...
મારા દિવસો નો સહારો

હું કહું છુ કે દૂર છુ તારા થી...
હું કહું છુ  કે મજબૂર છુ મારા થી 
પણ તારી વાતો તો છે મારી પાસે
તો ક્યાં દૂર છુ  તારા થી.,,

તું જ છે મારા માં.
હું જ ચુ તારા માં...
જુદા તો આપડે થયા જ નથી....
કારણ કે હજી શ્વાસ છે મારા માં...

તું છે મારી સામે।.
હું છુ તારી સામે 
બન્ને આંખો નો સથવારો।...
આ જીવન નો સહારો।.........
 

Saturday, March 28, 2015

Na jaane kyu jindagi aaise mod dikhati hai...
kuch pane ke liye aapno se door le jaati hai...
parindey bhi to aaisi hi zindagi heete hain...
daane ki talash me daal daal phirtey hain...

                     

Sunday, December 14, 2014

chalo aaj  phir kalam ootha leta hoon..
thoda aur likh leta hoon...
Kalam per lagi  dhool thodi zhad leta hon..
2 shabd hi sahi  per likh leta hoon..

arsa hooa dil ki baat kahe hooe..
bada samay laga phir khud ke pass aaye hooe..
dil ke andar na jaane  kab se jhaka nahi...
mahino se kuch likha nahi...

aaj  phir ek koshish karta hoon..
pet ki gudgudahat ko alfazo me dhalta hoon..
bhavnao ko  shabdo me bunta hoon..
chalo aaj kuch  likhta  hon...
........

kuch  likhne baitha saalon  ke baad...
laddoo phoota man me ye sochne ke baad...
khush main aaj bada...
bhula sab main itana khush hone ke baad....

Maf kardo mere pathako....
na likha kuch is baar..
vada hai aapse pakka agali baar..
likhunga  aapne dil  ki baat....  

               

Sunday, December 23, 2012

Meri Shavyatra

Doston thoda ajeeb hai per kahte hai likhne wale imagination me bahut kuch likh jate hai....chalo main aaj koshish ker raha hoon meri shav yatra ko imagine karne ki....

Aaj main khada hoon
ek ajab si jagah per
rote bilakhte logo ke beech
kuch planning karte logo ke beech..

kuch dhandhas bandhate log..
kuch vidhiyo per batuyate log..
kuch tippani karte log..
to kuch meri batain karte log....

kuch logo se mera kuch rishta hai...
to kuch se meri dosti.
kuch aaise hai jinhe main jaanta nahi...
per wo kahte hai ki ve mere aapne hain....

kuch mujhe galiya dete log...
kuch mujhe sarahte log...
kuch ke hisab se aacha hooa main gaya...
kuch ke hisab se main ruk kyon nahi gaya...

tabhi shuru hooi meri antim yatra
mere nashwar shareer ki shav yatra..
log chal pade ram ka naam lekar...
main bhi saath ho liya jai ho kahte hooe....

raston ko chirte hooe..
bheed ko kaatte hooe...
rah chalto ka dhyan khiche hoe..
antim vidali lete hooe...
chal padi hai meri shav yatra..
shamshan ki aur badhte hooe...

Main soch raha hoon wahin kahin...
ke kya paya maine aur kya kho diya hai..
aapne jeevan kaal ke
kaamo ko toh leta hooa....

tabhi hum pahuche shamshan ghat...
mera shav pahucha meri chita ke pass...
agni ke bhet chadne meri aakhri jaydaad..
raakh me mili meri poori kaynaat....

Maine palat kar dekha rote chehro ko...
Mere jane ke baad gum me dube kuch aapno ko....
ye to thi normal shav yatra...
jo dukhi kare sab logo ko..

e mere aapno mere doston...
tumhare aansu mere shav se jyada keemti hain..
mat rona mere jane ke baad...
meri aatma aapki hasin per hi jeeti hai...

shariir to ho gaya aag ke havale...
meri aatma to aaj bhi aapke sameep baithi hai..
to bandh karo ye rona dhona....
haso aur sabko hasao...
ye hi hai meri aakhri tamnna....



 

Sunday, November 4, 2012

Aaisa kyon hota hai..

Man me aag si lagti hai..
Tere deedar ko jee cahta hai....
do naino me doobne ko dil karta hai...
Aaisa kyon hota hai...

din bhar sirf ek shaqs yaad hota hai...
Tera hi chehra nazron ke samne hota hai....
awaz gunjati se kaano me teri....
ehsaas man me hota hai.....

kuch lamha agar dhayan na jaye teri aur....
man me sailab sa ooth jata hai....
jo alfaz na sune ho kuch pal maine..
koi kaam dil ko nahi soojta hai...

aaisa kyon hota hai...
ki udas man bhi machal oothta hai...
teri sirf ek muskurahat se..
hotho per mand muskan hai...
tere ek aabhivadan se....

log kahte hai ise ek bimari...
jise lagi oosi ko hi nibhani....
man ki preet hai doston...
har ashique ki kahani.....

lo aaj muje bhi kuch ho gaya...
bhola sa man pyar me pad gaya...
Do naino me aaj doob gaya.....
ooski yaad me ek kavita phir likh gaya.....


Sunday, August 5, 2012

Dost

aaj subah ki ujali kiran me...
khali pade in raston me.
kadam tal kiye chala ja raha tha..
khud se do lavz kahe ja raha tha...

purane dino ki choti se yaad ko..
phir se jeeta chala ja raha tha...
tabhi ghera mujze kuch bavandar ne...
bahata gaya yadon samandar me..

yaad aaya wo waqt
jab main tha thoda musibat me..
bas oos pal ki yaad hi bahut thi,,
ke do kadam aur dikhe bagal me..

kandhe per aapna hath rakh wo bola..
tu chala chal main tere sath hoon bhola..
tu tair nahi sakta ye janta hoon main...
isiliye laya hoon main tairaki chola..

bas tu hath pakad le mera...
har bawandar se lad jayenge hum..
thoda tu chal thoda me chalta hoon...
har laharon per tair jayenge hum...

har khushi me tere sath rahoonga...
har gum me tere pass rahunga...
teri hasi ka hissa banu na banu...
tere aansuo ka sahara zaroor banunga...

maine bhi socha ye bhi sahi...
jab pass ho koi aapna..
mushkil ya khushi ka sath wahi hai...
hum kah sake dost aapna....

Mere sabhi doston ko mera salam...in char lineo se aaj friendship day per tute foothe alfazon se koshish ki hai...mujhe pata hai dum na bhi hoga tab tu kahoge...kya baat kya baat kya baat.....dhanyawad..... 

Sunday, July 1, 2012

Chita se aaj bhi darta hoon main..

kahte hai log aapna seena tankar...
shero ko dar nahi lagta...
Main bhi kisi sher se kum nahi...
per dar mujko bhi hai lagta...

na kisi dushman se, na kisi dushmani se..
Na kisi musibat, na hi kisi mushkil se..
darta nahi main kisi anchahe mod se,,
Ye sher to darta hai Chita ke zor se..

ye to sabne suna aur khub kaha hai,,
jo aaya hai oose ek din jana hi  hai..
na jane kitno ko pahuchaya hai maine mukam tak,,
per chita ki aag se dil bhar aaya  hai...

bahuton ko sahas diya maine...
apno se bichad kar bhi jeene ka..
koi mere dil se puche...
sahas kaise batoru is dar  ko pine ka..

janta to main bhi yehoon...
khud ko chita per nahi dekh sakoonga...
pal jab bhi wo mere samne aata hai...
khyal aata hai ya alah kaise main mar sakoonga..

kitna pyar paya hai jahan se..
rota hooa kaise dekh sakoonga...
hasna hasaana joda hai maine...
kaise sabko chood sakoonga...

jab bhi khyal man me aata hai...
dil ka khoon bhi pani hi ban jata hai..
dhandhas kaise bandhau main khud ko...
chita ka dar jo mere zehan me aaya hai...

shero ki tarah jeena chahta hoon..
akhiri pal se aaj bhi darta hoon...
haste rahe ye arman hai mere..
per Chita se aaj bhi darta hoon...




Saturday, June 23, 2012

Choti Choti Khushi...

Zindagi ke kuch hasin lamhe ye blog likhte samay maine socha kya mere jeevan ke sirf ye hi yaadgar lamhen hai? to wo lamhe kaun se honge jinse maine na jane kya kuch  nahi seekha kya kuch nahi aapaya...to chaliye koshish karta hoon oon lamho ko kavita me bandhne ka....

jeevan jitna bhi jiya bade aache se jiya hai,
har lamhe har saal bade sukun se jiya hai..
chalo aaj liye chalta hoon oos zamane me...
jab hum bhi the lakdi ke paalne me...

paalne per latka khilona bhi
chehre per mast muskan de jata tha..
papa ka dilaya ek gubbara bhi..
zamane bhar ki muskan le aata tha...

Maa ke hath ki roti hi bas,,
pet ki aur dil ki bhukh mitati thi..
Papa ka kaam se ghar lautna..
ajab se khushi de jati thi...

mitti me jakar laut lagana..
to kabhi gandi naliyon se Gend nikalna..
barish ke mausam aate hai...
saikil chalane ki jidd lekar baithna...
sadak chap cricket me bhi..
vishwyudha ka chid jana...
wahh kya din the wo ...
jise hum bachpan kahte hai...

padhai na karne per papa ka khub datna..
dada dadi ka humare paksh me papa ko datna..
Ma ka papa se ruth kar baith jana...
phir papa ka humko manana...
kandhe per bitha kar mele le jana...

ye bhi bade hasin lamhe hai mere jivan ke..
jitna yaad karo ootne hi hoth muskurate hai...
ankhon se aasu aur man me khushi dilate hai..
in dino ko phir se jine ki caahh rakhte hai...
choti choti khushi phir pane ki caahh rakhte hai....





  

Saturday, June 9, 2012

jindagi ke kuch hasin lamhe....(part 1)

Aaj main aapne aab tak ke nahe se jeevan ke kuch aaise paloke bare me likh raha hoon. wo pal jinkee aaj bhi jab main sochta hoon jab mere chehre per muskan si aajati hai. aur main utsah se sarabor ho jata hoon.

aaj se karib 9 saal piche jata hoon. tarikh 1st aug 2003. dil me iicha thi ki engineering collage me admission loon. Wo bhi computer engineer. jan 1st ko mera bhai collage counselling se aaya to bola ki Ujjain ke collage ke Computer science branch full ho gayee. man baith gaya. wo shayad jeevan ki pahli raat thi jab main tension me raat bhar jaagta raha. Sochta raha ki kya hoga mere sapne  ka. kya main kisi aur branch ke saath insaf ker sakoonga. ye sochte sochte main 4th aug ko counselling me gaya aur Admission IT branch me liya kyon ki kisi ne kaha ki dono me jyada farq nahi hai. aur aaj bhi main oosi din ko yaad karta hoon ki finally mujhe engineering me admition to mil hi gaya. main nahi janta maine IT stream ke saath insaaf kiya ya nahi per passout hone ke 5 saal ke baad ye kah sakta hoon ki naukri na hone ke karan kabhi dimag per tension nahi aaya. aur malik kare aage aaisa koi din na dekhna pade.

Dusara yaadgar din bina kisi soch ke wohi din hoga jab main engineer ban gaya. 14th july 2007 jab humare final Year ka result declare hooa tha. and finally main ek engineer tha. shayad aapni aankhon se pahla sapna dekha hoga jo pura hooa. bahut khush tha main oos din. wo din mujhe itana pasand hai ki mujhe wo time bhi yaad hai jab mujhe mera result pata chala tha, 3:15min dophar me. Saturday hone ke karan office jana nahi tha.aur gher per movie enjoy ker raha tha tabhi mujhe phone aaya ki main pass ho gaya. sach kahoon to itani khushi oosdin tak maine kabhi mehsoos nahi ki thi,

agala mauka kuch aaise aaya ki maine aapne gher Ujjain me call kiya ki main 9th june ko gher pahuch raha hoon. to mere  ma papa is intazar me the ki kab 9 jun aaye. 4th jun ko maine gher call kiya. aur kaha ki main auto me baitha hoon aur gher ja raha hoon.mmm sach kaha Ujjain wale gher main Indore Airport per tha. aur wo meri pahli Hawai yatra thi jo maine khud sponsor ki thi..he he he. aur maine raat ko 11:30 per gher ka darwaja khatkhataya. Gher per log mere khatkhatane ke style se itna dar gaye ki haath me danda lekar darwaja khola aur oonke chehre main aaj tak nahi bhul sakta jab oonhone mujhe dekha. Ma ne pucha aabhi kaun si gadi se aaya. to  maine hawa me hath hila kar kaha ma main hawai  train se aaya hoon. aur agale din mammi papa sabko khushi khushi bata rahe the ki mera beta plane se aaya hai...bada hi yaad gar din tha wo...

                                                more to write and more to go....this post is not completed will write more.....

Saturday, May 19, 2012

MAA

Hello friends..

Aaj mere pass waise to teen topics hai jaise "Love is in the Air", "Maa", " Ishwar bhi sakar ho sakte hain.."..per last topic maine reject ker diya coz wo mujhe HINGLISH me nahi pure Hindi me likhna hoga....

To chalo Ma ke bare me hi likhta hoon...

Aaj main jeevdaani mata ke mandir gaya tha..tabhi socha maa ke sath jagda karu kya oonse ruth ker baith jauu ya oonhe dhanyawad du..inhi vidambnao me baitha ye socha ki Ma kya hai...Insan? bhagwan? shabd? aakhir hai kya Maa?

Maa ye shabd hai jo bhagwan roopi Insan ko bayan kerta hai. chaliye oos din se shuruwat kerte hai. jab mera is sansar ke rang manch per koi vajood nahi tha. oos samay mera vajood banaya meri maa ne. mere kirdar ko rochak banaya meri maa ne. mere kirdar ka auchitya banaya meri Maa ne..

jo batain hum roj sunte hai ki hume sukhe per sula ker khud geele me sote the humare maa babuji. aur ishwar khud har jagah nahi pahuch pata isiliye oosne Maa ko banaya.

bada aacha lagta hai ye sunne me per kya hum is per amal kerte hai. yadi aapka jawab haan hai to khud aaine me dekhiye aur khud se mohabbat kerna shuru kar dijiye.
jab main aapni baat yahan tak kah gaya to aage kahne ke liye mere alfaz kum pad rahe hai...kyonki Maa koi murat nahi wo to ek ehsas hai jo humesha mere saath hai. jo log kisi na kisi tarah se aapni Maa se door hai wo man me sir ek baar aapni Maa ko pukaroye...aab jo bhi bulate hai aapni ma ko jaise amma, Maa, Mammi, Momi. Mataji, Mai, Aai ya jo bhi. aap pukar kar dekhiye..aapke hotho per muskan hogi aur dimag me wahi bachpan wali masumiyat, kyon hum aaj bhi aapni Maa ke liye wahi Masoom bane rahna cahte hai...

Mujhe to na jane  kai saalo se Maa is shabd se hi pyar ho gaya hai. chahe koi bhi mahila ho agar wo Maa hai to mere liye sanmam ki patra haim. chahe wah sadak per chal rahi bhikharin ho ya mahlo me rahne walo koi adakara,

mujhe jaanne wale ye soch rahe honge ki banda bhavnao me bah ker ye batain ker raha hai. per Doston Maa ke bare me likhne ke liye bhavnaye nahi sirf ehsaas cahiye.

Jab bhi mujhe koi samsya hoti to main jat se ma ke aanchal me simat jata aur meri samasya khatam ho jati ya mujhe oosse ladne ki himmat aajati...aaj Maa mere sath nahi hai to  kya hooa sirf aankhe bandh kerta hoon aur schta hoon ki main Maa ke anchal me hoon aur bas samasya samapt.

Ravan ka naam to aapne suna hi hoga..haan haan wohi to Ram ji se har gaya tha. oosne bhi aapne neeti shashtra me kaha tha ki " Poot, Kapoot ho sakta hai per Mata kabhi kumata nahi ho sakti".

main aaj is baat ko yahi choodta hoon aur oon sab Maaon ko charan sparsh kerta hon...kyon main kah chuka Maa ke bare me bolne ke liye vichar to bahut hain per kya karoo kalam ki syahi ya shabdon ka sangrah dono hi chote lagne lagte hai..

Saturday, April 21, 2012

Rishtay....

Gita me kaha gaya hai ki "tum kya lekar aaye the aur kya lekar jaoge". bilkul thik hai aaj sochte hai iis bare me. doosare nazariye se sochte hai ki hum kya lekar aaye the? bandh mutthi me kuch lakeerain thi..aur oon lakeeron ko kharch ker hatheliyon ko khula rakh ker chale jayenge.

per sawal hai doosare saar ka ki jo paya  yahin per paya. sahi hai insaan cahe jitna paisa pale per adhoora hi rahta hai...koi cheej hai jo wakai me hume pana cahiye wo hain log, rishtay.

Rishtay jo insan ki sabse badi kamjori bhi hoti hai aur sabse badi taqat. ek bacche ke liye sabse taqatwar insan ooska Pita hota hai. ooski sabse badi taqat ooski Ma hoti hai. aur ye hi rishtay insaan ki sabse badi kamzori hoti hai. Bahan ko vida karte samay kabhi kisi ke samne na jukne wala bhai aapni bahan ke sarusaal walo se ye zaroor kahta hai "palko per baitha ker rakha hai aap khayal rakhiyega."

wakai me rishtay badi hi aachi cheej banai hai malik ne. poora jeevan hum oonhi ke sath bita dete hai aur jab jeevan chodne ka waqt aata hai wo iinhi rishton ke liye phir ek baar jeene ki iicha hoti hai.

ye to hooi wo rishtay jo malik hume tohfe ke roop me deta hai. kuch rishtey aaise bhi hote hai jinhe hum khud cunte hai. jaise Dost, kahte hai..

Ye jindagi badi choti hai..
tu chalta chala chal.
Dushmani ke liye samay kahan hai...
Tu to dost banate chal...

Bas ye hi ker raha hoon, Dushmani ke liye mere pass bhi waqt nahi hai to main to dost banata chala ja raha hoon.
Mere Dost kahte hai tu humesha muskurata rahta hai...karan dhundhne chala tha to mila ki mere bahut sare dost hai..oonme se koi na koi to khush hoga hi. oonki khushi me mera khush hona to banta hai na...

Dostn kya bolte ho main sach kahraha hoon na...agar meri baat se ittafaq rakhte hai to is post per comment dijiye...Main intazar karoonga,,,,

સપનાંઓ