Saturday, May 19, 2012

MAA

Hello friends..

Aaj mere pass waise to teen topics hai jaise "Love is in the Air", "Maa", " Ishwar bhi sakar ho sakte hain.."..per last topic maine reject ker diya coz wo mujhe HINGLISH me nahi pure Hindi me likhna hoga....

To chalo Ma ke bare me hi likhta hoon...

Aaj main jeevdaani mata ke mandir gaya tha..tabhi socha maa ke sath jagda karu kya oonse ruth ker baith jauu ya oonhe dhanyawad du..inhi vidambnao me baitha ye socha ki Ma kya hai...Insan? bhagwan? shabd? aakhir hai kya Maa?

Maa ye shabd hai jo bhagwan roopi Insan ko bayan kerta hai. chaliye oos din se shuruwat kerte hai. jab mera is sansar ke rang manch per koi vajood nahi tha. oos samay mera vajood banaya meri maa ne. mere kirdar ko rochak banaya meri maa ne. mere kirdar ka auchitya banaya meri Maa ne..

jo batain hum roj sunte hai ki hume sukhe per sula ker khud geele me sote the humare maa babuji. aur ishwar khud har jagah nahi pahuch pata isiliye oosne Maa ko banaya.

bada aacha lagta hai ye sunne me per kya hum is per amal kerte hai. yadi aapka jawab haan hai to khud aaine me dekhiye aur khud se mohabbat kerna shuru kar dijiye.
jab main aapni baat yahan tak kah gaya to aage kahne ke liye mere alfaz kum pad rahe hai...kyonki Maa koi murat nahi wo to ek ehsas hai jo humesha mere saath hai. jo log kisi na kisi tarah se aapni Maa se door hai wo man me sir ek baar aapni Maa ko pukaroye...aab jo bhi bulate hai aapni ma ko jaise amma, Maa, Mammi, Momi. Mataji, Mai, Aai ya jo bhi. aap pukar kar dekhiye..aapke hotho per muskan hogi aur dimag me wahi bachpan wali masumiyat, kyon hum aaj bhi aapni Maa ke liye wahi Masoom bane rahna cahte hai...

Mujhe to na jane  kai saalo se Maa is shabd se hi pyar ho gaya hai. chahe koi bhi mahila ho agar wo Maa hai to mere liye sanmam ki patra haim. chahe wah sadak per chal rahi bhikharin ho ya mahlo me rahne walo koi adakara,

mujhe jaanne wale ye soch rahe honge ki banda bhavnao me bah ker ye batain ker raha hai. per Doston Maa ke bare me likhne ke liye bhavnaye nahi sirf ehsaas cahiye.

Jab bhi mujhe koi samsya hoti to main jat se ma ke aanchal me simat jata aur meri samasya khatam ho jati ya mujhe oosse ladne ki himmat aajati...aaj Maa mere sath nahi hai to  kya hooa sirf aankhe bandh kerta hoon aur schta hoon ki main Maa ke anchal me hoon aur bas samasya samapt.

Ravan ka naam to aapne suna hi hoga..haan haan wohi to Ram ji se har gaya tha. oosne bhi aapne neeti shashtra me kaha tha ki " Poot, Kapoot ho sakta hai per Mata kabhi kumata nahi ho sakti".

main aaj is baat ko yahi choodta hoon aur oon sab Maaon ko charan sparsh kerta hon...kyon main kah chuka Maa ke bare me bolne ke liye vichar to bahut hain per kya karoo kalam ki syahi ya shabdon ka sangrah dono hi chote lagne lagte hai..

4 comments:

Nirav said...

Baba rula diya tumne to....bahut dino se roya nahi tha....m proud to be a frnd like u....bhai hai tu mera!!!
Nirav

Ankit Vasavada said...

sahi hai bhai...

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

Jab dawao ka asar nhi hota to najar utarti hai
wo maa hai jnab wo kha har manti hai



સપનાંઓ