Saturday, June 23, 2012

Choti Choti Khushi...

Zindagi ke kuch hasin lamhe ye blog likhte samay maine socha kya mere jeevan ke sirf ye hi yaadgar lamhen hai? to wo lamhe kaun se honge jinse maine na jane kya kuch  nahi seekha kya kuch nahi aapaya...to chaliye koshish karta hoon oon lamho ko kavita me bandhne ka....

jeevan jitna bhi jiya bade aache se jiya hai,
har lamhe har saal bade sukun se jiya hai..
chalo aaj liye chalta hoon oos zamane me...
jab hum bhi the lakdi ke paalne me...

paalne per latka khilona bhi
chehre per mast muskan de jata tha..
papa ka dilaya ek gubbara bhi..
zamane bhar ki muskan le aata tha...

Maa ke hath ki roti hi bas,,
pet ki aur dil ki bhukh mitati thi..
Papa ka kaam se ghar lautna..
ajab se khushi de jati thi...

mitti me jakar laut lagana..
to kabhi gandi naliyon se Gend nikalna..
barish ke mausam aate hai...
saikil chalane ki jidd lekar baithna...
sadak chap cricket me bhi..
vishwyudha ka chid jana...
wahh kya din the wo ...
jise hum bachpan kahte hai...

padhai na karne per papa ka khub datna..
dada dadi ka humare paksh me papa ko datna..
Ma ka papa se ruth kar baith jana...
phir papa ka humko manana...
kandhe per bitha kar mele le jana...

ye bhi bade hasin lamhe hai mere jivan ke..
jitna yaad karo ootne hi hoth muskurate hai...
ankhon se aasu aur man me khushi dilate hai..
in dino ko phir se jine ki caahh rakhte hai...
choti choti khushi phir pane ki caahh rakhte hai....





  

Saturday, June 9, 2012

jindagi ke kuch hasin lamhe....(part 1)

Aaj main aapne aab tak ke nahe se jeevan ke kuch aaise paloke bare me likh raha hoon. wo pal jinkee aaj bhi jab main sochta hoon jab mere chehre per muskan si aajati hai. aur main utsah se sarabor ho jata hoon.

aaj se karib 9 saal piche jata hoon. tarikh 1st aug 2003. dil me iicha thi ki engineering collage me admission loon. Wo bhi computer engineer. jan 1st ko mera bhai collage counselling se aaya to bola ki Ujjain ke collage ke Computer science branch full ho gayee. man baith gaya. wo shayad jeevan ki pahli raat thi jab main tension me raat bhar jaagta raha. Sochta raha ki kya hoga mere sapne  ka. kya main kisi aur branch ke saath insaf ker sakoonga. ye sochte sochte main 4th aug ko counselling me gaya aur Admission IT branch me liya kyon ki kisi ne kaha ki dono me jyada farq nahi hai. aur aaj bhi main oosi din ko yaad karta hoon ki finally mujhe engineering me admition to mil hi gaya. main nahi janta maine IT stream ke saath insaaf kiya ya nahi per passout hone ke 5 saal ke baad ye kah sakta hoon ki naukri na hone ke karan kabhi dimag per tension nahi aaya. aur malik kare aage aaisa koi din na dekhna pade.

Dusara yaadgar din bina kisi soch ke wohi din hoga jab main engineer ban gaya. 14th july 2007 jab humare final Year ka result declare hooa tha. and finally main ek engineer tha. shayad aapni aankhon se pahla sapna dekha hoga jo pura hooa. bahut khush tha main oos din. wo din mujhe itana pasand hai ki mujhe wo time bhi yaad hai jab mujhe mera result pata chala tha, 3:15min dophar me. Saturday hone ke karan office jana nahi tha.aur gher per movie enjoy ker raha tha tabhi mujhe phone aaya ki main pass ho gaya. sach kahoon to itani khushi oosdin tak maine kabhi mehsoos nahi ki thi,

agala mauka kuch aaise aaya ki maine aapne gher Ujjain me call kiya ki main 9th june ko gher pahuch raha hoon. to mere  ma papa is intazar me the ki kab 9 jun aaye. 4th jun ko maine gher call kiya. aur kaha ki main auto me baitha hoon aur gher ja raha hoon.mmm sach kaha Ujjain wale gher main Indore Airport per tha. aur wo meri pahli Hawai yatra thi jo maine khud sponsor ki thi..he he he. aur maine raat ko 11:30 per gher ka darwaja khatkhataya. Gher per log mere khatkhatane ke style se itna dar gaye ki haath me danda lekar darwaja khola aur oonke chehre main aaj tak nahi bhul sakta jab oonhone mujhe dekha. Ma ne pucha aabhi kaun si gadi se aaya. to  maine hawa me hath hila kar kaha ma main hawai  train se aaya hoon. aur agale din mammi papa sabko khushi khushi bata rahe the ki mera beta plane se aaya hai...bada hi yaad gar din tha wo...

                                                more to write and more to go....this post is not completed will write more.....

સપનાંઓ