Saturday, June 23, 2012

Choti Choti Khushi...

Zindagi ke kuch hasin lamhe ye blog likhte samay maine socha kya mere jeevan ke sirf ye hi yaadgar lamhen hai? to wo lamhe kaun se honge jinse maine na jane kya kuch  nahi seekha kya kuch nahi aapaya...to chaliye koshish karta hoon oon lamho ko kavita me bandhne ka....

jeevan jitna bhi jiya bade aache se jiya hai,
har lamhe har saal bade sukun se jiya hai..
chalo aaj liye chalta hoon oos zamane me...
jab hum bhi the lakdi ke paalne me...

paalne per latka khilona bhi
chehre per mast muskan de jata tha..
papa ka dilaya ek gubbara bhi..
zamane bhar ki muskan le aata tha...

Maa ke hath ki roti hi bas,,
pet ki aur dil ki bhukh mitati thi..
Papa ka kaam se ghar lautna..
ajab se khushi de jati thi...

mitti me jakar laut lagana..
to kabhi gandi naliyon se Gend nikalna..
barish ke mausam aate hai...
saikil chalane ki jidd lekar baithna...
sadak chap cricket me bhi..
vishwyudha ka chid jana...
wahh kya din the wo ...
jise hum bachpan kahte hai...

padhai na karne per papa ka khub datna..
dada dadi ka humare paksh me papa ko datna..
Ma ka papa se ruth kar baith jana...
phir papa ka humko manana...
kandhe per bitha kar mele le jana...

ye bhi bade hasin lamhe hai mere jivan ke..
jitna yaad karo ootne hi hoth muskurate hai...
ankhon se aasu aur man me khushi dilate hai..
in dino ko phir se jine ki caahh rakhte hai...
choti choti khushi phir pane ki caahh rakhte hai....





  

No comments:

સપનાંઓ