Sunday, December 23, 2012

Meri Shavyatra

Doston thoda ajeeb hai per kahte hai likhne wale imagination me bahut kuch likh jate hai....chalo main aaj koshish ker raha hoon meri shav yatra ko imagine karne ki....

Aaj main khada hoon
ek ajab si jagah per
rote bilakhte logo ke beech
kuch planning karte logo ke beech..

kuch dhandhas bandhate log..
kuch vidhiyo per batuyate log..
kuch tippani karte log..
to kuch meri batain karte log....

kuch logo se mera kuch rishta hai...
to kuch se meri dosti.
kuch aaise hai jinhe main jaanta nahi...
per wo kahte hai ki ve mere aapne hain....

kuch mujhe galiya dete log...
kuch mujhe sarahte log...
kuch ke hisab se aacha hooa main gaya...
kuch ke hisab se main ruk kyon nahi gaya...

tabhi shuru hooi meri antim yatra
mere nashwar shareer ki shav yatra..
log chal pade ram ka naam lekar...
main bhi saath ho liya jai ho kahte hooe....

raston ko chirte hooe..
bheed ko kaatte hooe...
rah chalto ka dhyan khiche hoe..
antim vidali lete hooe...
chal padi hai meri shav yatra..
shamshan ki aur badhte hooe...

Main soch raha hoon wahin kahin...
ke kya paya maine aur kya kho diya hai..
aapne jeevan kaal ke
kaamo ko toh leta hooa....

tabhi hum pahuche shamshan ghat...
mera shav pahucha meri chita ke pass...
agni ke bhet chadne meri aakhri jaydaad..
raakh me mili meri poori kaynaat....

Maine palat kar dekha rote chehro ko...
Mere jane ke baad gum me dube kuch aapno ko....
ye to thi normal shav yatra...
jo dukhi kare sab logo ko..

e mere aapno mere doston...
tumhare aansu mere shav se jyada keemti hain..
mat rona mere jane ke baad...
meri aatma aapki hasin per hi jeeti hai...

shariir to ho gaya aag ke havale...
meri aatma to aaj bhi aapke sameep baithi hai..
to bandh karo ye rona dhona....
haso aur sabko hasao...
ye hi hai meri aakhri tamnna....



 

No comments:

સપનાંઓ