Sunday, March 4, 2012

Insaan....

Aaj gher per baithe hooe khidki se bahr dekh raha tha, achanak dyan balcony per gaya aur dekha gher ki wo jagah jahan humne kabhi dhyan nahi diya wah to kabootaron ka basera sa ban gayi hai...5-6 kabootari aapne ando ko sek rahi thi kinme se kuch bacche bhi ban gaye the....to anayas hi socha ki inh yahan se bhagaya jaay..ye humare gher ko ganda ker rahe hai....aur ooth ker 1 2 naye ando ko maine fodne ke liye ootha liya....tabhi ek mitra bola ki "rahne dijiye malik....hum insan in parindo ko begher kerne ke liye jinmewar hai kya hooa agar ye parinde humare gher ki thodi se jagah maang rahe hai isame kya boora hai". Dimag ke taar hil gaye ki baat me gahrai to hai.....sochna padeda.....chaliye sochte hai....
Wakai hum insan itane swarthi hote hai jo aapne aap ke nahi ho sakte wo in parindo ke kya hoonge....aaj 90% insaan Daulat ke piche pagal hai. Koi paisa roopi daulat ke piche daud raha hai to koi rutbe roopi daulat ke piche....koi nashe ki daulat to koi jism ki daulat...bas daulat ke piche insan bawra sa ho gaya hai. main ye nahi kahta ki main inse alag hoon. akhir main bhi insaan hoon alag kaise ho sakta hoon. nahi to log samjenge ki keval bhashan dilwa lo jaise khood to doodh ka dhula hai isliye spastikaran anivarya hai.

ek masoom sa bejuban janvar jiska is sansaar me shayad koi nahi oos per hum insaan atyachar ke alawa kuch nahi kerte. kyon na hum me se kuch insaan is parindo ke apne ban jaye to shayad kuch jantuo ki nasle bach jayengi kyonki jo vilupt ho gayee oonka to hum kuch ker nahi sakte.

aab maine kaha ke is duniya me oonka koi nahi is tathya ko sabit kerna hooga. main jab bhi pareshan hota hoon koi koi rasta nazar nahi aata to main seedha aapni MA ke anchal me ja baithta, aur anayas hi sare raste nazar aane lagte hai. per in jantuo ke bacche jab bade ho jate hai to oonki mataye hi oone chhood ker chali jati hai to ye parinde, ye bejuban jantu aapni samasya kise batayenge? inka aapna kaun hai? ye sawal wakai vichar kerne yogya hai. aur ye vichar keval insaano ko kerna hoga kyon ishwer,allah,yesu,guru jinhe bhi hum mante hai oosne sochne ki taqat sirf hume di hai..

Malik ne sochne ke sath bhavnaye hume hi di hai oon bhavnao me bahker hi sahi inke apane ban ker dekhiye…

..main aapni baat yahi rokta hoon....sochiye is bare me....



No comments:

સપનાંઓ