Thursday, March 1, 2012

Kuch Batain Shayarana andaz me …..

jindagi ek kitab hai padhta chala chal....

jita ja aur majje lootta chala chal....
panne palatne ki koshish mat ker....
jo ye sikhaye oose sikhta chala chal....
------------------------------------------------------------------------------
kya tha main aur kya ho gaya hoo...
good boy tha main thoda Bad ho gaya hoon..
Chote se shahar ka ladka tha main....
aab mumbaiya ho gaya hoon......
-----------------------------------------------------------------------------
Phone aur facebook jaise sadhan hai humare pass
milte rahenge is baat ka hai viahwas...
phir bhi na jane Kyon aaj bhi hai....
bichadne per gum ka ehsaas....
----------------------------------------------------------------------------
yadain..
Yadain bhi ajab khel khelti hain....
Zindagi ke lamhon ko alfazo se tolti hai....
jis pal dil khol ker muskuraye the hum log...
aaj oonhi bataon ko gum ke tarazo se tolti hai...
-----------------------------------------------------------------------------
yu khada main samander kinare...
gunguna raha tha zindagi ke fasane...
koshish kuch aaisi thi man me...
alfaz jod ker likh do ye tarane...

kya paya hai aab tak maine..
aur na jane kya kho aaya hoon main...
bahut kuch hai pane ki iicha man me...
na jane kahan kho jaonga main....

kitne hi dost mile is rah me...
kuch sirf mile to kuch jaan ban gaye...
kuch khoob hase mere sath...
to kuch har arzoo ke gawah ban gaye...

kuch pane ki ek lagan si lagi hai...
per raste dushwar ban gaye...
socha malik se thodi madad hi le loon....
per sirf do nain hi mere bhgwan ban gaye...

shabd nahi hai mere zahan me...
kuch panno ko bayan kar sakoo...
bade hi nayab hai wo lamhe....
tamanna hai onnhe akhtiyar ker sakoo...
--------------------------------------------------------------------
yu tha khada aur soch bhi na paya....
manzile thi anek per raste dhundh na paya...
kahle wo umar hai meri raas lilao wali...
per kya karoo aab tak gopi to pata na paya...

Gopi na pata paya isame mera koi dosh nahi...
mahangai itani hai ki kisi ka koi dost nahi....
aur aaj kal ki gpoiya bhi itani tez hai...
ki kewal raas leela hi oonke manki mauj nahi....
--------------------------------------------------------------------------
Ye dil bhi gajab dhata hai...

na jane kaise khaab sajata hai...
poore ho har khaab is dil ke..
ye aarzoo bhi dil hi dilata hai....
---------------------------------------------------------------------------

No comments:

સપનાંઓ