Saturday, March 31, 2012

sapne...

aaj gher ki khidki se Baitha..
Bahar Udati chidiya ko dekh raha tha..
mere bhi pankh the kabhi...
aaj phir oonhi ko khoj raha tha...

wo bhi kya din the jab pankh failaye..
udane ki koshish kerte the..
asmaan tha to bahut door...
per pal me chune ki koshish kerte the....

nanhi se aankhen thi...
per sapne bahut bade dekhe the...
socha tha poora karenge oonko...
hauslon ke tarazo me tolte the....

tabhi ek aaisa mod aaya...
hausalon ko maine ek chita main jalaya...
sapne to aaj bhi hai aankhon me....
per himmat ko maine suli chadaya....

log kahte the ye kuch karega...
kuch kerne se darta hoon...
main kya kuch karoonga....
aab to khushi se bhi darta hoon...



No comments:

સપનાંઓ